mujhe kuchh fikr ai hamdam nahin hai
mujhe kuchh fikr ai hamdam nahin hai
Noorul Huda Noor Zabihi Banarsi
MORE BYNoorul Huda Noor Zabihi Banarsi
mujhe kuchh fikr ai hamdam nahīñ hai
yahī ġham hai ki koī ġham nahīñ hai
gale lag jā tū hī ai nā-murādī
ki ab apnā koī hamdam nahīñ hai
qarīne se saje haiñ jām-o-mīnā
nizām-e-maikada barham nahīñ hai
zamāne kī nazar hai badlī badlī
koī apnā sharīk-e-ġham nahīñ hai
hamāre ashk ke qatre se bachnā
ki chingārī hai ye shabnam nahīñ hai
uThegā 'nūr' kyūñkar bār-e-furqat
ye ġham do chaar din kā ġham nahīñ hai
mujhe kuchh fikr ai hamdam nahin hai
yahi gham hai ki koi gham nahin hai
gale lag ja tu hi ai na-muradi
ki ab apna koi hamdam nahin hai
qarine se saje hain jam-o-mina
nizam-e-maikada barham nahin hai
zamane ki nazar hai badli badli
koi apna sharik-e-gham nahin hai
hamare ashk ke qatre se bachna
ki chingari hai ye shabnam nahin hai
uThega 'nur' kyunkar bar-e-furqat
ye gham do chaar din ka gham nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.