mujhe kya KHabar hai ki kyunkar hua hai
mujhe kyā ḳhabar hai ki kyūñkar huā hai
zamāna mirī zaat se kyoñ ḳhafā hai
tirā bhī mirā bhī vahī ik ḳhudā hai
kahī an-kahī sab kī jo sun rahā hai
maiñ samjhī thī chāhat vafā hī vafā hai
magar kyā ḳhabar thī daġhā hī daġhā hai
mujhe hijr meñ dard jitnā milā hai
tujhe ishq ho ab 'rishā' kī duā hai
mujhe kya KHabar hai ki kyunkar hua hai
zamana meri zat se kyon KHafa hai
tera bhi mera bhi wahi ek KHuda hai
kahi an-kahi sab ki jo sun raha hai
main samjhi thi chahat wafa hi wafa hai
magar kya KHabar thi dagha hi dagha hai
mujhe hijr mein dard jitna mila hai
tujhe ishq ho ab 'risha' ki dua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.