mujhe likkho wahan kya ho raha hai
mujhe likkho vahāñ kyā ho rahā hai
yahāñ to phir tamāshā ho rahā hai
havā ke dosh par hai āshiyāna
parinda tinkā tinkā ho rahā hai
abhī parvāz kī fursat hai kis ko
abhī to dāna-dunkā ho rahā hai
koī nādīda uñglī uTh rahī hai
mirī jānib ishāra ho rahā hai
vo apne haath sīdhe kar rahe haiñ
hamārā shahr ulTā ho rahā hai
na jaane kis taraf se likkhā jaa.e
chaman dīvār-e-fardā ho rahā hai
mujhe likkho wahan kya ho raha hai
yahan to phir tamasha ho raha hai
hawa ke dosh par hai aashiyana
parinda tinka tinka ho raha hai
abhi parwaz ki fursat hai kis ko
abhi to dana-dunka ho raha hai
koi nadida ungli uTh rahi hai
meri jaanib ishaara ho raha hai
wo apne hath sidhe kar rahe hain
hamara shahr ulTa ho raha hai
na jaane kis taraf se likkha jae
chaman diwar-e-farda ho raha hai
- Book : Beesveen Sadi Ki Behtareen Ishqiya Ghazlen (Pg. 49)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.