mujhe malum hai basti mein ghurbat kam nahin hoti
mujhe ma.alūm hai bastī meñ ġhurbat kam nahīñ hotī
diloñ meñ phir bhī logoñ ke mohabbat kam nahīñ hotī
merī fankārī merī umr se pahchānñe vāloñ
kisī māchis kī ik tiilī meñ tāqat kam nahīñ hotī
kukurmuttoñ ke bīchoñ-bīch khiltā gul bhī kahtā hai
kisī muflis ko apnāne se izzat kam nahīñ hotī
ujālā surya kā mahloñ meñ bhī hai jhoñpaḌī meñ bhī
ho koī aadmī mālik kī rahmat kam nahīñ hotī
tumhāre kāñch ke mahloñ kī azmat chāhe kuchh bhī ho
jahāñ meñ pattharoñ kī qadr-o-qīmat kam nahīñ hotī
tumhāre pyaar meñ ġhazleñ hazāroñ kah gayā varna
faqat ik sher kahne meñ mashaqqat kam nahīñ hotī
mujhe malum hai basti mein ghurbat kam nahin hoti
dilon mein phir bhi logon ke mohabbat kam nahin hoti
meri fankari meri umr se pahchanne walon
kisi machis ki ek tili mein taqat kam nahin hoti
kukurmutton ke bichon-bich khilta gul bhi kahta hai
kisi muflis ko apnane se izzat kam nahin hoti
ujala surya ka mahlon mein bhi hai jhonpaDi mein bhi
ho koi aadmi malik ki rahmat kam nahin hoti
tumhaare kanch ke mahlon ki azmat chahe kuchh bhi ho
jahan mein pattharon ki qadr-o-qimat kam nahin hoti
tumhaare pyar mein ghazlen hazaron kah gaya warna
faqat ek sher kahne mein mashaqqat kam nahin hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.