mujhe mahrumiyon ka gham nahin hai
mujhe mahrūmiyoñ kā ġham nahīñ hai
ye taufīq-e-talab bhī kam nahīñ hai
mohabbat naam hai ġham-peshgī kā
havas is raaz kī mahram nahīñ hai
ḳhamoshī bhī hai ik tarz-e-takallum
nazar kī guftugū mub.ham nahīñ hai
maiñ rotā huuñ junūñ kī bekasī par
vidā-e-hosh kā mātam nahīñ hai
ba-juz ik ālam-e-husn-e-tahayyur
nazar meñ ab koī aalam nahīñ hai
mujhe mahrumiyon ka gham nahin hai
ye taufiq-e-talab bhi kam nahin hai
mohabbat nam hai gham-peshgi ka
hawas is raaz ki mahram nahin hai
KHamoshi bhi hai ek tarz-e-takallum
nazar ki guftugu mubham nahin hai
main rota hun junun ki bekasi par
wida-e-hosh ka matam nahin hai
ba-juz ek aalam-e-husn-e-tahayyur
nazar mein ab koi aalam nahin hai
- Book : sheerazah (Pg. 41)
- Author : makhmoor saeedi,Parem Gopal Mittal
- Publication : P -K Publication 3072 Partap stareet gola Market -Daryaganj delhi-6 (1973)
- Edition : 1973
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.