mujhe manzilon ki hai justuju na kisi Dagar ki talash hai
mujhe manzilon ki hai justuju na kisi Dagar ki talash hai
Abdussamad Khan Qaiser
MORE BYAbdussamad Khan Qaiser
mujhe manziloñ kī hai justujū na kisī Dagar kī talāsh hai
jo mirī nazar ko samajh sake mujhe us nazar kī talāsh hai
mujhe pās-e-dair-o-haram nahīñ mirī bandagī hai vo bandagī
jahāñ ḳhud-baḳhud mirā sar jhuke usī sang-e-dar kī talāsh hai
ye jahān-e-ranj-o-alam to hai yahāñ roz-o-shab yahī ġham to hai
na ho jis kī phir koī shām-e-ġham mujhe us sahar kī talāsh hai
maiñ bhaTak rahā huuñ idhar udhar koī ham-safar hai na rāhbar
mirī manziloñ se jo ḳhud mile usī rahguzar kī talāsh hai
maiñ pareshāñ-hāl huuñ is qadar ki hai chashm-e-tar to hazīñ jigar
jahāñ chal ke dil ko sukūñ mile usī bām-o-dar kī talāsh hai
maiñ misāl-e-sham.a-e-mazār huuñ maiñ 'zafar' kā ujḌā dayār huuñ
maiñ vahī huuñ 'qaisar'-e-ġham-zada mujhe phir zafar kī talāsh hai
mujhe manzilon ki hai justuju na kisi Dagar ki talash hai
jo meri nazar ko samajh sake mujhe us nazar ki talash hai
mujhe pas-e-dair-o-haram nahin meri bandagi hai wo bandagi
jahan KHud-baKHud mera sar jhuke usi sang-e-dar ki talash hai
ye jahan-e-ranj-o-alam to hai yahan roz-o-shab yahi gham to hai
na ho jis ki phir koi sham-e-gham mujhe us sahar ki talash hai
main bhaTak raha hun idhar udhar koi ham-safar hai na rahbar
meri manzilon se jo KHud mile usi rahguzar ki talash hai
main pareshan-haal hun is qadar ki hai chashm-e-tar to hazin jigar
jahan chal ke dil ko sukun mile usi baam-o-dar ki talash hai
main misal-e-shama-e-mazar hun main 'zafar' ka ujDa dayar hun
main wahi hun 'qaisar'-e-gham-zada mujhe phir zafar ki talash hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.