mujhe mile bhi to kyunkar mile KHabar meri
mujhe mile bhī to kyūñkar mile ḳhabar merī
ki maiñ vahāñ huuñ jahāñ ḳhud nahīñ guzar merī
sañbhālnā unheñ aape kā ho gayā mushkil
paḌī jab un pe mohabbat bharī nazar merī
nazar milāte bhī Dartā huuñ us se ab ki kahīñ
fuġhān-e-dard na ho jaa.e be-asar merī
kisī ke husn ke jalvoñ meñ kho gayā huuñ maiñ
ḳhudā ke vāste lā de koī ḳhabar merī
na jaane kab se sū-e-bām tak rahā thā maiñ
vo aa.e sāmne ko jhuk ga.ī nazar merī
mazā to jab hai ki nazroñ hī se samajh leñ vo
ki arz-e-shauq meñ zillat hai sar-basar merī
guzar bhī jaa.e guzarnā hai jo bhī ai 'sāhir'
ki aas toḌī hai zālim ne jaan kar merī
mujhe mile bhi to kyunkar mile KHabar meri
ki main wahan hun jahan KHud nahin guzar meri
sanbhaalna unhen aape ka ho gaya mushkil
paDi jab un pe mohabbat bhari nazar meri
nazar milate bhi Darta hun us se ab ki kahin
fughan-e-dard na ho jae be-asar meri
kisi ke husn ke jalwon mein kho gaya hun main
KHuda ke waste la de koi KHabar meri
na jaane kab se su-e-baam tak raha tha main
wo aae samne ko jhuk gai nazar meri
maza to jab hai ki nazron hi se samajh len wo
ki arz-e-shauq mein zillat hai sar-basar meri
guzar bhi jae guzarna hai jo bhi ai 'sahir'
ki aas toDi hai zalim ne jaan kar meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.