mujhe mohabbat se dekhti hain tumhaari aankhen
mujhe mohabbat se dekhtī haiñ tumhārī āñkheñ
baḌe qarīne se chūmtī haiñ tumhārī āñkheñ
maiñ āsmāñ kā tavāf karne lagūñ to pahle
kalām kar ke sañbhāltī haiñ tumhārī āñkheñ
diloñ meñ jhāñkeñ to ek pal meñ baḌe sukūñ se
diloñ se nafrat nikāltī haiñ tumhārī āñkheñ
chamaktī jaatī haiñ tīrgī meñ ḳhamosh rah kar
kamāl hairat se sochtī haiñ tumhārī āñkheñ
maiñ apnī āñkheñ bhulā ke baḌhtī huuñ terī jānib
ki jab bhī mujh ko pukārtī haiñ tumhārī āñkheñ
tumhārī āñkhoñ se kaun 'kishvar'' bache ki ham ko
baḌī suhūlat se khīñchtī haiñ tumhārī āñkheñ
mujhe mohabbat se dekhti hain tumhaari aankhen
baDe qarine se chumti hain tumhaari aankhen
main aasman ka tawaf karne lagun to pahle
kalam kar ke sanbhaalti hain tumhaari aankhen
dilon mein jhanken to ek pal mein baDe sukun se
dilon se nafrat nikalti hain tumhaari aankhen
chamakti jati hain tirgi mein KHamosh rah kar
kamal hairat se sochti hain tumhaari aankhen
main apni aankhen bhula ke baDhti hun teri jaanib
ki jab bhi mujh ko pukarti hain tumhaari aankhen
tumhaari aankhon se kaun 'kishwar bache ki hum ko
baDi suhulat se khinchti hain tumhaari aankhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.