mujhe mushkil hai tujhe pas bulana jaana
mujhe mushkil hai tujhe paas bulānā jaanā
tū agar chāhe to āsān hai aanā jaanā
mil na mil mujh se magar tā-ba-mulāqāt kabhū
dil se is bande ko hargiz na bhulānā jaanā
phirā bahuterā bhaTaktā huā maiñ āḳhir-kār
tere kūche ke ta.iiñ apnā Thikānā jaanā
jo phirā tujh se to be-shub.h ḳhudā se hai phirā
tere baa.is se mujhe saarā zamāna jaanā
ik mulāqāt hai rūhānī digar jismānī
kisī sūrat se vo sūrat ko dikhānā jaanā
mahfil-e-yār meñ 'ḳhāmosh' hai lāzim tujh ko
misl-e-parvāna par-o-bāl jalānā jaanā
mujhe mushkil hai tujhe pas bulana jaana
tu agar chahe to aasan hai aana jaana
mil na mil mujh se magar ta-ba-mulaqat kabhu
dil se is bande ko hargiz na bhulana jaana
phira bahutera bhaTakta hua main aaKHir-kar
tere kuche ke tain apna Thikana jaana
jo phira tujh se to be-shubh KHuda se hai phira
tere bais se mujhe sara zamana jaana
ek mulaqat hai ruhani digar jismani
kisi surat se wo surat ko dikhana jaana
mahfil-e-yar mein 'KHamosh' hai lazim tujh ko
misl-e-parwana par-o-baal jalana jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.