mujhe paDho to paDho meri dastan se alag
mujhe paḌho to paḌho merī dāstāñ se alag
maiñ gulsitāñ meñ bhī yuuñ huuñ ki gulsitāñ se alag
ho koī vasl kā lamha ki hijr kā aalam
hijāb-e-shauq huā hai na darmiyāñ se alag
nuqūsh-e-sajda zamāna kahāñ talāsh kare
mirī jabīñ se judā tere āstāñ se alag
ye jāñ-navāz bahut hai vo kam-se-kam jāñ-soz
bahār se hai shikāyat judā ḳhizāñ se alag
hujūm-e-dard-o-alam dil ke saath thā 'nashtar'
ye kārvāñ bhī huā mīr-e-kārvāñ se alag
mujhe paDho to paDho meri dastan se alag
main gulsitan mein bhi yun hun ki gulsitan se alag
ho koi wasl ka lamha ki hijr ka aalam
hijab-e-shauq hua hai na darmiyan se alag
nuqush-e-sajda zamana kahan talash kare
meri jabin se juda tere aastan se alag
ye jaan-nawaz bahut hai wo kam-se-kam jaan-soz
bahaar se hai shikayat juda KHizan se alag
hujum-e-dard-o-alam dil ke sath tha 'nashtar'
ye karwan bhi hua mir-e-karwan se alag
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.