mujhe pahle tum ek nazar dekh lena
mujhe pahle tum ik nazar dekh lenā
jidhar chāhe jī phir udhar dekh lenā
mire jazb-e-dil kā asar dekh lenā
vo ḳhud ā.eñge mere ghar dekh lenā
shab-e-vasl tum chhoḌ kar mujh ko jaao
mazā is kā vaqt-e-sahar dekh lenā
kisī roz ye tīr-e-mizhgāñ tumhārā
karegā mire dil meñ ghar dekh lenā
tumheñ fitna-e-hashr kahtī hai duniyā
koī tum se uTThegā shar dekh lenā
mujhe roz dar par jo dekhā to bole
ġhazab hai tumhārā abhī ghar dekh lenā
tumheñ qadr 'mahmūd' kī kuchh na aa.ī
milegā na aisā bashar dekh lenā
mujhe pahle tum ek nazar dekh lena
jidhar chahe ji phir udhar dekh lena
mere jazb-e-dil ka asar dekh lena
wo KHud aaenge mere ghar dekh lena
shab-e-wasl tum chhoD kar mujh ko jao
maza is ka waqt-e-sahar dekh lena
kisi roz ye tir-e-mizhgan tumhaara
karega mere dil mein ghar dekh lena
tumhein fitna-e-hashr kahti hai duniya
koi tum se uTThega shar dekh lena
mujhe roz dar par jo dekha to bole
ghazab hai tumhaara abhi ghar dekh lena
tumhein qadr 'mahmud' ki kuchh na aai
milega na aisa bashar dekh lena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.