mujhe pata hai junun ka asar ziyaada hai
mujhe pata hai junūñ kā asar ziyāda hai
ki rāh-e-shauq kā mushkil safar ziyāda hai
sulūk rakhtā hai mujh se munāfiqoñ jaisā
tamām shahr meñ jo mo'atabar ziyāda hai
use bhī tujh se mohabbat rahī hai jān-e-ġhazal
jo terī bazm meñ bā-chashm-e-tar ziyāda hai
faqīh-e-shahr kā maiñ ne sunā hai va.az bahut
tire bayān meñ lekin asar ziyāda hai
maiñ sochtā huuñ ki guzregī kis tarah 'tanhā'
ye kal kā bojh mire aaj par ziyāda hai
mujhe pata hai junun ka asar ziyaada hai
ki rah-e-shauq ka mushkil safar ziyaada hai
suluk rakhta hai mujh se munafiqon jaisa
tamam shahr mein jo mo'atabar ziyaada hai
use bhi tujh se mohabbat rahi hai jaan-e-ghazal
jo teri bazm mein ba-chashm-e-tar ziyaada hai
faqih-e-shahr ka main ne suna hai waz bahut
tere bayan mein lekin asar ziyaada hai
main sochta hun ki guzregi kis tarah 'tanha'
ye kal ka bojh mere aaj par ziyaada hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.