mujhe rahin-e-gham-o-hijr-o-yas rahne do
mujhe rahīn-e-ġham-o-hijr-o-yās rahne do
tamām tohfe mire dil ke paas rahne do
na mere dil se haTāo ridā-e-jānāñ ko
ki mere dil ko zarā bā-libās rahne do
faroġh-e-dard-e-mohabbat ke vāste hamdam
mire raqīb ko mere hī paas rahne do
agarche hijr hī chāho qubūl hai lekin
tum apne lahje meñ thoḌī miThās rahne do
tum apne husn kā sarmāya chhīn lo mujh se
matā.a-e-ishq-o-vafā mere paas rahne do
likheñ haiñ jis pe fasāne kitāb tum rakh lo
vafā-shi.ār qalam mere paas rahne do
mujhe rahin-e-gham-o-hijr-o-yas rahne do
tamam tohfe mere dil ke pas rahne do
na mere dil se haTao rida-e-jaanan ko
ki mere dil ko zara ba-libas rahne do
farogh-e-dard-e-mohabbat ke waste hamdam
mere raqib ko mere hi pas rahne do
agarche hijr hi chaho qubul hai lekin
tum apne lahje mein thoDi miThas rahne do
tum apne husn ka sarmaya chhin lo mujh se
mataa-e-ishq-o-wafa mere pas rahne do
likhen hain jis pe fasane kitab tum rakh lo
wafa-shiar qalam mere pas rahne do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.