mujhe saqi ne samjhaya ishaaron hi ishaaron mein
mujhe saaqī ne samjhāyā ishāroñ hī ishāroñ meñ
mire hisse kī bāñTī jā.egī parhezgāroñ meñ
jahāñ the husn-o-ishq-o-aql-o-vahshat dil bhī jā pahuñchā
ḳhudā ke fazl se ab vo bhī hai pāñchoñ savāroñ meñ
mirī be-iḳhtiyārī meñ bhī rabt-o-zabt qaa.em hai
umaD aate haiñ jo aañsū to bahte haiñ qatāroñ meñ
dil-e-kam-zarf ne ham ko kahīñ kā bhī nahīñ chhoḌā
rahe the chaar din hazrat hamāre rāz-dāroñ meñ
fareb-e-va.ada-e-fardā kā parda hī rahe yā-rab
chhiḌī hai bahs is mauzūa par ummīdvāroñ meñ
kabhī ghar baiThe baiThe chhup-chhupā kar pī bhī letā huuñ
magar merā shumār ab tak bhī hai parhezgāroñ meñ
tumhāre faiz se ye bhī sharaf hāsil huā mujh ko
mirī dīvāngī ke tazkire haiñ hoshyāroñ meñ
bahār aate hī jab rindoñ ne apne jaam khankā.e
hirāsāñ ho ke tauba jā chhipī parhezgāroñ meñ
ḳhudā shāhid hai 'sāhir' un kī azmat aur baḌh jaatī
agar vo baiThte aa kar kabhī ham ḳhāksāroñ meñ
mujhe saqi ne samjhaya ishaaron hi ishaaron mein
mere hisse ki banTi jaegi parhezgaron mein
jahan the husn-o-ishq-o-aql-o-wahshat dil bhi ja pahuncha
KHuda ke fazl se ab wo bhi hai panchon sawaron mein
meri be-iKHtiyari mein bhi rabt-o-zabt qaem hai
umaD aate hain jo aansu to bahte hain qataron mein
dil-e-kam-zarf ne hum ko kahin ka bhi nahin chhoDa
rahe the chaar din hazrat hamare raaz-daron mein
fareb-e-wada-e-farda ka parda hi rahe ya-rab
chhiDi hai bahs is mauzua par ummidwaron mein
kabhi ghar baiThe baiThe chhup-chhupa kar pi bhi leta hun
magar mera shumar ab tak bhi hai parhezgaron mein
tumhaare faiz se ye bhi sharaf hasil hua mujh ko
meri diwangi ke tazkire hain hoshyaron mein
bahaar aate hi jab rindon ne apne jam khankae
hirasan ho ke tauba ja chhipi parhezgaron mein
KHuda shahid hai 'sahir' un ki azmat aur baDh jati
agar wo baiThte aa kar kabhi hum KHaksaron mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.