mujhe tarik raaton ka sitam sone nahin deta
mujhe tārīk rātoñ kā sitam sone nahīñ detā
bhale hī dard zyāda ho yā kam sone nahīñ detā
udāsī chīḳhtī rahtī hai aksar der rātoñ tak
mujhe hastī kā har ranj-o-alam sone nahīñ detā
na jaane kitne sāyoñ kā ta'āqub hai abhī karnā
mujhe aksar yahī bas ek ġham sone nahīñ detā
abhī hālāt haiñ aise ki har shai bikhrī bikhrī hai
musalsal ek fikr-e-besh-o-kam sone nahīñ detā
kabhī dhun pe tumhārī sāñsoñ kī maiñ so bhī jaatā huuñ
kabhī zulfoñ kā terī pech-o-ḳham sone nahīñ detā
mujhe tarik raaton ka sitam sone nahin deta
bhale hi dard zyaada ho ya kam sone nahin deta
udasi chiKHti rahti hai aksar der raaton tak
mujhe hasti ka har ranj-o-alam sone nahin deta
na jaane kitne sayon ka ta'aqub hai abhi karna
mujhe aksar yahi bas ek gham sone nahin deta
abhi haalat hain aise ki har shai bikhri bikhri hai
musalsal ek fikr-e-besh-o-kam sone nahin deta
kabhi dhun pe tumhaari sanson ki main so bhi jata hun
kabhi zulfon ka teri pech-o-KHam sone nahin deta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.