mujhe taDpa ke sharmata to hoga
mujhe taḌpā ke sharmātā to hogā
kiye par apne pachhtātā to hogā
na lagtā hogā dil bāġh-e-iram meñ
kabhī ghar merā yaad aatā to hogā
shikast-e-zindagī de kar mujhe yuuñ
vo fāteh ban ke itrātā hogā
kabhī yaad aa hī jaate hoñge vo din
terā dil bhī taḌap jaatā to hogā
nahīñ tark-e-mohabbat itnā āsāñ
tasavvur merā rulvātā to hogā
sukūn-e-zindagī meñ hogī halchal
dil-e-maġhmūm ghabrātā to hogā
tabassum chhin gayā hogā laboñ se
vo dil hī dil meñ ġham khātā to hogā
bahār-e-rafta aatī hogī jab yaad
junūñ meñ sar ko Takrātā to hogā
ba-zāhir ḳhush sahī lekin kahāñ ḳhush
banāvaT karke thak jaatā to hogā
vafā.eñ merī yaad aatī na hoñgī
tirī āñkhoñ meñ ashk aatā hogā
ye maanā be-muravvat sañg-dil hai
magar patthar pighal jaatā to hogā
na jaanī bevafā ne qadr-e-ne.amat
mujhe ab kho ke pachhtātā to hogā
dil-e-mahzūñ meñ Tiis uThtī na hogī
ḳhayāl-e-'tāhira' aatā to hogā
mujhe taDpa ke sharmata to hoga
kiye par apne pachhtata to hoga
na lagta hoga dil bagh-e-iram mein
kabhi ghar mera yaad aata to hoga
shikast-e-zindagi de kar mujhe yun
wo fateh ban ke itraata hoga
kabhi yaad aa hi jate honge wo din
tera dil bhi taDap jata to hoga
nahin tark-e-mohabbat itna aasan
tasawwur mera rulwata to hoga
sukun-e-zindagi mein hogi halchal
dil-e-maghmum ghabraata to hoga
tabassum chhin gaya hoga labon se
wo dil hi dil mein gham khata to hoga
bahaar-e-rafta aati hogi jab yaad
junun mein sar ko Takraata to hoga
ba-zahir KHush sahi lekin kahan KHush
banawaT karke thak jata to hoga
wafaen meri yaad aati na hongi
teri aankhon mein ashk aata hoga
ye mana be-murawwat sang-dil hai
magar patthar pighal jata to hoga
na jaani bewafa ne qadr-e-neamat
mujhe ab kho ke pachhtata to hoga
dil-e-mahzun mein Tis uThti na hogi
KHayal-e-'tahira' aata to hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.