mujhe teri judai ka ye sadma mar Dalega
mujhe teri judai ka ye sadma mar Dalega
Hidayatullah Khan Shamsi
MORE BYHidayatullah Khan Shamsi
mujhe terī judā.ī kā ye sadma maar Dālegā
zamāne bhar meñ rusvā.ī kā charchā maar Dālegā
tumhāre naam se jānāñ mirā ye dil dhaḌaktā hai
ab aao haath rakh do varna dhaḌkā maar Dālegā
koī ġhamgīn mil jaa.e to hañsnā bhuul jaatā huuñ
kisī din ḳhair-ḳhvāhī kā ye jazba maar Dālegā
charāġhoñ meñ lahū Daalo hai laḌnī jañg zulmat se
vagarna ab ujāloñ ko añdherā maar Dālegā
zamīñ ke surḳh manzar raat ko sone nahīñ dete
kisī din mujh ko ye ehsās merā maar Dālegā
zamīñ par eḌiyāñ ragḌo ki ab chashma koī phūTe
bahut zālim hai dariyā ham ko pyāsā maar Dālegā
samundar paar karnā ishq kā āsāñ nahīñ 'shamsī'
bhañvar se bach bhī jaa.eñ to kinārā maar Dālegā
mujhe teri judai ka ye sadma mar Dalega
zamane bhar mein ruswai ka charcha mar Dalega
tumhaare nam se jaanan mera ye dil dhaDakta hai
ab aao hath rakh do warna dhaDka mar Dalega
koi ghamgin mil jae to hansna bhul jata hun
kisi din KHair-KHwahi ka ye jazba mar Dalega
charaghon mein lahu Dalo hai laDni jang zulmat se
wagarna ab ujalon ko andhera mar Dalega
zamin ke surKH manzar raat ko sone nahin dete
kisi din mujh ko ye ehsas mera mar Dalega
zamin par eDiyan ragDo ki ab chashma koi phuTe
bahut zalim hai dariya hum ko pyasa mar Dalega
samundar par karna ishq ka aasan nahin 'shamsi'
bhanwar se bach bhi jaen to kinara mar Dalega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.