mujhe to dhup ka saya bahut tha
mujhe to dhuup kā saaya bahut thā
magar ruktā kahāñ chalnā bahut thā
palaT aa.ī thī jo Takrā ke ḳhud hī
maiñ us āvāz par chauñkā bahut thā
badal kar bhes aa.e shaam jaise
sahar ke ruḳh pe kal kohrā bahut thā
chaTāneñ chīḳh kar TūTīñ to sochā
mujhe in se abhī kahnā bahut thā
ye sandal ho gayā zaḳhmī bil-āḳhir
yahāñ jo naag thā Dastā bahut thā
mujhe to dhup ka saya bahut tha
magar rukta kahan chalna bahut tha
palaT aai thi jo Takra ke KHud hi
main us aawaz par chaunka bahut tha
badal kar bhes aae sham jaise
sahar ke ruKH pe kal kohra bahut tha
chaTanen chiKH kar TuTin to socha
mujhe in se abhi kahna bahut tha
ye sandal ho gaya zaKHmi bil-aKHir
yahan jo nag tha Dasta bahut tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.