mujhe tujhse bichhaD jaane ka dukh hai
mujhe tujh se bichhaḌ jaane kā dukh hai
kalī ke khil ke murjhāne kā dukh hai
mujhe kal tū ne Thahrāyā thā lekin
jahāñ ko aaj Thukrāne kā dukh hai
vafā paane kī dil meñ aarzū thī
tamāshā ban ke rah jaane kā dukh hai
tujhe sau baar samjhāyā thā maiñ ne
magar ab tere kumhlāne kā dukh hai
jagātā hai mujhe shab bhar tirā ġham
ḳhushī apnī na begāne kā dukh hai
lagā kuchh jhaḌte patte dekh kar yuuñ
mire tanhā chale aane kā dukh hai
agarche aaj 'hasrat' chup hai lekin
tirī tanqīd kā ta.ane kā dukh hai
mujhe tujh se bichhaD jaane ka dukh hai
kali ke khil ke murjhane ka dukh hai
mujhe kal tu ne Thahraya tha lekin
jahan ko aaj Thukrane ka dukh hai
wafa pane ki dil mein aarzu thi
tamasha ban ke rah jaane ka dukh hai
tujhe sau bar samjhaya tha main ne
magar ab tere kumhlane ka dukh hai
jagata hai mujhe shab bhar tera gham
KHushi apni na begane ka dukh hai
laga kuchh jhaDte patte dekh kar yun
mere tanha chale aane ka dukh hai
agarche aaj 'hasrat' chup hai lekin
teri tanqid ka tane ka dukh hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.