mujhe tum nind se bedar karna
mujhe tum niiñd se bedār karnā
samundar hai mujhe ik paar karnā
laboñ par barf jamtī jā rahī hai
diloñ ko ab lahū guftār karnā
uThānā ret kī dīvār din bhar
use phir shaam ko mismār karnā
manāzir chhīn lenā raushnī ke
añdhere ko kabhī anvār karnā
hai jis kā asl hī āñkhoñ se ojhal
use kyā dekhnā dīvār karnā
abhī to marhala hai imtihāñ kā
jalā kar kashtiyāñ inkār karnā
dikhānā raah manzil kī sabhī ko
mujhī ko roknā takrār karnā
mujhe tum nind se bedar karna
samundar hai mujhe ek par karna
labon par barf jamti ja rahi hai
dilon ko ab lahu guftar karna
uThana ret ki diwar din bhar
use phir sham ko mismar karna
manazir chhin lena raushni ke
andhere ko kabhi anwar karna
hai jis ka asl hi aankhon se ojhal
use kya dekhna diwar karna
abhi to marhala hai imtihan ka
jala kar kashtiyan inkar karna
dikhana rah manzil ki sabhi ko
mujhi ko rokna takrar karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.