mujhe tum se gham ki shikayat nahin
mujhe tum se ġham kī shikāyat nahīñ
nadāmat kī koī zarūrat nahīñ
ḳhudā kī qasam tum to phir dost ho
mujhe dushmanoñ se bhī nafrat nahīñ
vahāñ dil ke saude se kyā vāsta
jahāñ pyaar kī koī qīmat nahīñ
use raas aa.egī kyā zindagī
tire naam se jis ko nisbat nahīñ
vafāoñ kā mujh se na saudā karo
mirā pyaar koī tijārat nahīñ
faqat ik mulāqāt maqsūd hai
'nazar' kī koī aur hasrat nahīñ
mujhe tum se gham ki shikayat nahin
nadamat ki koi zarurat nahin
KHuda ki qasam tum to phir dost ho
mujhe dushmanon se bhi nafrat nahin
wahan dil ke saude se kya wasta
jahan pyar ki koi qimat nahin
use ras aaegi kya zindagi
tere nam se jis ko nisbat nahin
wafaon ka mujh se na sauda karo
mera pyar koi tijarat nahin
faqat ek mulaqat maqsud hai
'nazar' ki koi aur hasrat nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.