mujhe udas bhi karte rahe mere andar
mujhe udaas bhī karte rahe mire andar
jo phuul khil ke bikharte rahe mire andar
mujhe miTātī rahī merī ḳhāmushī aksar
mire hī ḳhvāb bikharte rahe mire andar
mayassar aaya na un ko libās-e-saut-o-sadā
mire ḳhayāl sañvarte rahe mire andar
ab un kī maar se chehra bujhā bujhā hai mirā
jo sadme mujh pe guzarte rahe mire andar
baḌe jatan se jalā.e the kuchh diye maiñ ne
jo ek jhoñke se Darte rahe mire andar
vo ashk-e-dil kī zamīnoñ ko kar ga.e shādāb
jo qatra qatra utarte rahe mire andar
mirī numū meñ rukāvaT bane rahe 'āmir'
jo vasvase se ubharte rahe mire andar
mujhe udas bhi karte rahe mere andar
jo phul khil ke bikharte rahe mere andar
mujhe miTati rahi meri KHamushi aksar
mere hi KHwab bikharte rahe mere andar
mayassar aaya na un ko libas-e-saut-o-sada
mere KHayal sanwarte rahe mere andar
ab un ki mar se chehra bujha bujha hai mera
jo sadme mujh pe guzarte rahe mere andar
baDe jatan se jalae the kuchh diye main ne
jo ek jhonke se Darte rahe mere andar
wo ashk-e-dil ki zaminon ko kar gae shadab
jo qatra qatra utarte rahe mere andar
meri numu mein rukawaT bane rahe 'amir'
jo waswase se ubharte rahe mere andar
- Book : رنگ سا اڑتا ہے (Pg. 121)
- Author : اشفاق عامر
- Publication : عکاس پبلی کیشنز،اسلام آباد
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.