mujhe ujlaton mein na paDh zara mujhe waqt de
mujhe ujlaton mein na paDh zara mujhe waqt de
Khwaja tariq Usmani
MORE BYKhwaja tariq Usmani
mujhe ujlatoñ meñ na paḌh zarā mujhe vaqt de
maiñ huuñ muddatoñ meñ likhā huā mujhe vaqt de
mujhe hosh aane de ham-safar maiñ huuñ be-ḳhabar
mujhe vaqt de abhī Thahar jā mujhe vaqt de
mujhe āb-o-dānā-e-hosh de abhī sabr rakh
vo zamīn-e-aql pe ug rahā mujhe vaqt de
koī shakl de mujhe ai musavvir-e-dil-figār
mujhe canvas pe utaar aa mujhe vaqt de
ġham-e-ishq mujh ko muaaf kar ki maiñ huuñ abhī
ġham-e-rozgār meñ mubtalā mujhe vaqt de
mujhe rakh ke chaak pe bhuul mat mere kūza-gar
mere ḳhāl-o-ḳhad bhī banā zarā mujhe vaqt de
mujhe hairatoñ se nikāl de mujhe chhū ke dekh
mere yaar hosh meñ aa zarā mujhe vaqt de
mujhe ujlaton mein na paDh zara mujhe waqt de
main hun muddaton mein likha hua mujhe waqt de
mujhe hosh aane de ham-safar main hun be-KHabar
mujhe waqt de abhi Thahar ja mujhe waqt de
mujhe aab-o-dana-e-hosh de abhi sabr rakh
wo zamin-e-aql pe ug raha mujhe waqt de
koi shakl de mujhe ai musawwir-e-dil-figar
mujhe canwas pe utar aa mujhe waqt de
gham-e-ishq mujh ko muaf kar ki main hun abhi
gham-e-rozgar mein mubtala mujhe waqt de
mujhe rakh ke chaak pe bhul mat mere kuza-gar
mere KHal-o-KHad bhi bana zara mujhe waqt de
mujhe hairaton se nikal de mujhe chhu ke dekh
mere yar hosh mein aa zara mujhe waqt de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.