mujhe un se mohabbat ho chali hai
mujhe un se mohabbat ho chalī hai
taḌapnā dil kī qismat ho chalī hai
adāvat aur nafrat yā-ilāhī
tire bandoñ kī fitrat ho chalī hai
haqīqat thī kabhī tauqīr-e-ādam
magar ab to hikāyat ho chalī hai
karam ye bhī hai terī be-ruḳhī kā
mujhe ab ḳhud se nafrat ho chalī hai
ibādat kā sila haiñ hūr-o-ġhilmāñ
ibādat bhī tijārat ho chalī hai
hamīñ par hai nigāh-e-qahr un kī
hamīñ par ye ināyat ho chalī hai
marāsim ḳhūb-rūoñ se baḌhānā
dil-e-nādāñ kī aadat ho chalī hai
karam hone lagā ahl-e-havas par
ilāhī kyā qayāmat ho chalī hai
vafā par to na jaane kyā ho 'sābir'
jafā hī par 'masarrat' ho chalī hai
mujhe un se mohabbat ho chali hai
taDapna dil ki qismat ho chali hai
adawat aur nafrat ya-ilahi
tere bandon ki fitrat ho chali hai
haqiqat thi kabhi tauqir-e-adam
magar ab to hikayat ho chali hai
karam ye bhi hai teri be-ruKHi ka
mujhe ab KHud se nafrat ho chali hai
ibaadat ka sila hain hur-o-ghilman
ibaadat bhi tijarat ho chali hai
hamin par hai nigah-e-qahr un ki
hamin par ye inayat ho chali hai
marasim KHub-ruon se baDhana
dil-e-nadan ki aadat ho chali hai
karam hone laga ahl-e-hawas par
ilahi kya qayamat ho chali hai
wafa par to na jaane kya ho 'sabir'
jafa hi par 'masarrat' ho chali hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.