mujhe uski use meri abhi pahchan hona tha
mujhe us kī use merī abhī pahchān honā thā
ye do rūheñ bhaTaktī haiñ inheñ yak-jān honā thā
tirī bāteñ tire qisse vo gul mainā hasīñ yādeñ
kise mā'lūm thā āḳhir unheñ anjān honā thā
mirā qātil na-jāne kab se merī raah dekhe hai
nahīñ shātir ye kamsin hai ise vijdān honā thā
ye vahshat kā taqāza thā use chhoḌā hai par maulā
mujhe kyoñ sabr aaya hai abhī halkān honā thā
tirī bāteñ tirī yādeñ mire dil se nikal jātīñ
'huzaifa' kā abhī ik aur to nuqsān honā thā
mujhe us ki use meri abhi pahchan hona tha
ye do ruhen bhaTakti hain inhen yak-jaan hona tha
teri baaten tere qisse wo gul maina hasin yaaden
kise ma'lum tha aaKHir unhen anjaan hona tha
mera qatil na-jaane kab se meri rah dekhe hai
nahin shatir ye kamsin hai ise wijdan hona tha
ye wahshat ka taqaza tha use chhoDa hai par maula
mujhe kyon sabr aaya hai abhi halkan hona tha
teri baaten teri yaaden mere dil se nikal jatin
'huzaifa' ka abhi ek aur to nuqsan hona tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.