mujhe wo gham hai ki sari zamin rone lage
mujhe vo ġham hai ki saarī zamīn rone lage
jo ashk poñchh duuñ to āstīn rone lage
tumheñ pata hai maiñ aisī jagah bhī hañs aayā
jahāñ pe zabt ke sab māhirīn rone lage
madārī jāntā thā āḳhirī tamāshā hai
so khel aisā kiyā nāzirīn rone lage
tire laboñ pe udāsī thī ek lamhe ko
tirī hañsī ke sabhī shā.eqīn rone lage
kuchh aise qaid kiyā hai gharoñ meñ qudrat ne
makān hañsne lage aur makīn rone lage
mujhe wo gham hai ki sari zamin rone lage
jo ashk ponchh dun to aastin rone lage
tumhein pata hai main aisi jagah bhi hans aaya
jahan pe zabt ke sab mahirin rone lage
madari jaanta tha aaKHiri tamasha hai
so khel aisa kiya nazirin rone lage
tere labon pe udasi thi ek lamhe ko
teri hansi ke sabhi shaeqin rone lage
kuchh aise qaid kiya hai gharon mein qudrat ne
makan hansne lage aur makin rone lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.