mujhe wo shaKHs qalandar dikhai deta hai
mujhe vo shaḳhs qalandar dikhā.ī detā hai
jo mere ḳhvāb ke andar dikhā.ī detā hai
ye lag rahā hai mirā shahr chhoḌ jā.egā
vo āj-kal mujhe aksar dikhā.ī detā hai
to kyā ye maan luuñ maiñ āsmāñ se uupar huuñ
har ik sitāra zamīñ par dikhā.ī detā hai
jo sāmne hai sarīhan nazar kā hai dhoka
vo hai nahīñ jo barābar dikhā.ī detā hai
tumhārī aañkh meñ dekhā hai sab ne dasht magar
mujhe to un meñ samundar dikhā.ī detā hai
mujhe wo shaKHs qalandar dikhai deta hai
jo mere KHwab ke andar dikhai deta hai
ye lag raha hai mera shahr chhoD jaega
wo aaj-kal mujhe aksar dikhai deta hai
to kya ye man lun main aasman se upar hun
har ek sitara zamin par dikhai deta hai
jo samne hai sarihan nazar ka hai dhoka
wo hai nahin jo barabar dikhai deta hai
tumhaari aankh mein dekha hai sab ne dasht magar
mujhe to un mein samundar dikhai deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.