mujh yaad aa raha hai koi aansuon mein Dhal ke
mujh yaad aa rahā hai koī āñsuoñ meñ Dhal ke
koī aa gayā yahāñ bhī mire saath saath chal ke
ik pal qarār aatā do din kī zindagī meñ
bechainiyāñ hī miltīñ sūrat badal badal ke
ham muflisoñ kī jholī ḳhālī hai dil bhare haiñ
samjhā ke rāhzan ko ham aa.e bach nikal ke
kuchh to 'qalīl' tum bhī apnā ḳhayāl rakhnā
maqtal meñ Dhal ga.e haiñ kuchh shahr āj-kal ke
mujh yaad aa raha hai koi aansuon mein Dhal ke
koi aa gaya yahan bhi mere sath sath chal ke
ek pal qarar aata do din ki zindagi mein
bechainiyan hi miltin surat badal badal ke
hum muflison ki jholi KHali hai dil bhare hain
samjha ke rahzan ko hum aae bach nikal ke
kuchh to 'qalil' tum bhi apna KHayal rakhna
maqtal mein Dhal gae hain kuchh shahr aaj-kal ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.