mujhe ye faKHr hai tumko KHayal rahta hai
mujhe ye faḳhr hai tum ko ḳhayāl rahtā hai
tumhāre zehn meñ koī 'hilāl' rahtā hai
abhī lagī hī nahīñ shohratoñ kī garm havā
abhī se ḳhuun meñ itnā ubaal rahtā hai
hazār koshisheñ kar ke tum us ko joḌo magar
jo TuuT jaatā hai is dil meñ baal rahtā hai
faqat mujhe hī nahīñ ġham judā.ī kā us kī
use bhī mujh se bichhaḌ kar malāl rahtā hai
ye sab hamārī mohabbat kā ek sadqa hai
jo us pe aaj bhī husn-o-jamāl rahtā hai
mujhe ye faKHr hai tum ko KHayal rahta hai
tumhaare zehn mein koi 'hilal' rahta hai
abhi lagi hi nahin shohraton ki garm hawa
abhi se KHun mein itna ubaal rahta hai
hazar koshishen kar ke tum us ko joDo magar
jo TuT jata hai is dil mein baal rahta hai
faqat mujhe hi nahin gham judai ka us ki
use bhi mujh se bichhaD kar malal rahta hai
ye sab hamari mohabbat ka ek sadqa hai
jo us pe aaj bhi husn-o-jamal rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.