mujhe ye justuju kyun ho ki kya hun aur kiya tha main
mujhe ye justujū kyuuñ ho ki kyā huuñ aur kiyā thā maiñ
koī apne sivā huuñ maiñ koī apne sivā thā maiñ
na jaane kaun sā ātish-fishāñ thā mere siine meñ
ki ḳhālī thā bahut phir bhī dhamak kar phaT paḌā thā maiñ
to kyā maiñ ne nashe meñ vāqa.ī ye guftugū kī thī
mujhe ḳhud bhī nahīñ ma.alūm thā jo sochtā thā maiñ
ḳhud apne ḳhol meñ ghuT kar na rah jaatā to kyā kartā
yahāñ ik bhiiḌ thī jis bhiiḌ meñ gum ho gayā thā maiñ
na luTnā merī qismat hī meñ thā likkhā huā varna
añdherī raat thī aur biich raste meñ khaḌā thā maiñ
guzarne ko to mujh par bhī ajab ik hādisa guzrā
magar us vaqt jab sadmoñ kā aadī ho chukā thā maiñ
maiñ kahtā thā suno sachchā.ī to ḳhud hai sila apnā
ye nukta iktisābī thā magar sach boltā thā maiñ
tujhe to dūsroñ se bhī ulajhne meñ takalluf thā
mujhe to dekh apne-āp se uljhā huā thā maiñ
ḳhulūs o iltifāt o mehr jo hai ab usī se hai
jise pahle na jaane kis nazar se dekhtā thā maiñ
jo ab yuuñ mere girdā-gird haiñ kuchh roz pahle tak
unhī logoñ ke haq meñ kis qadar sabr-āzmā thā maiñ
bahut ḳhush-ḳhulq thā maiñ bhī magar ye baat jab kī hai
na auroñ hī se vāqif thā na ḳhud ko jāntā thā maiñ
mujhe ye justuju kyun ho ki kya hun aur kiya tha main
koi apne siwa hun main koi apne siwa tha main
na jaane kaun sa aatish-fishan tha mere sine mein
ki KHali tha bahut phir bhi dhamak kar phaT paDa tha main
to kya main ne nashe mein waqai ye guftugu ki thi
mujhe KHud bhi nahin malum tha jo sochta tha main
KHud apne KHol mein ghuT kar na rah jata to kya karta
yahan ek bhiD thi jis bhiD mein gum ho gaya tha main
na luTna meri qismat hi mein tha likkha hua warna
andheri raat thi aur bich raste mein khaDa tha main
guzarne ko to mujh par bhi ajab ek hadisa guzra
magar us waqt jab sadmon ka aadi ho chuka tha main
main kahta tha suno sachchai to KHud hai sila apna
ye nukta iktisabi tha magar sach bolta tha main
tujhe to dusron se bhi ulajhne mein takalluf tha
mujhe to dekh apne-ap se uljha hua tha main
KHulus o iltifat o mehr jo hai ab usi se hai
jise pahle na jaane kis nazar se dekhta tha main
jo ab yun mere girda-gird hain kuchh roz pahle tak
unhi logon ke haq mein kis qadar sabr-azma tha main
bahut KHush-KHulq tha main bhi magar ye baat jab ki hai
na auron hi se waqif tha na KHud ko jaanta tha main
- Book : Andokhta (Pg. 59)
- Author : Anwar Shuoor
- Publication : Arts Council of Pakistan, Karachi (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.