mujhe ye phul na de tujhko dilbari ki qasam
mujhe ye phuul na de tujh ko dilbarī kī qasam
ye kuchh nahīñ tire hoñThoñ kī tāzgī kī qasam
nazar hasīñ ho to jalve hasīn lagte haiñ
maiñ kuchh nahīñ huuñ mujhe mere husn hī kī qasam
tū ek saaz hai chheḌā nahīñ kisī ne jise
tire badan meñ chhupī narm rāgnī kī qasam
ye rāgnī tire dil meñ hai mere tan meñ nahīñ
parakhne vaale mujhe terī sādgī kī qasam
ġhazal kā loch hai tū nazm kā shabāb hai tū
yaqīn kar mujhe merī hī shā.erī kī qasam
mujhe ye phul na de tujh ko dilbari ki qasam
ye kuchh nahin tere honThon ki tazgi ki qasam
nazar hasin ho to jalwe hasin lagte hain
main kuchh nahin hun mujhe mere husn hi ki qasam
tu ek saz hai chheDa nahin kisi ne jise
tere badan mein chhupi narm ragni ki qasam
ye ragni tere dil mein hai mere tan mein nahin
parakhne wale mujhe teri sadgi ki qasam
ghazal ka loch hai tu nazm ka shabab hai tu
yaqin kar mujhe meri hi shaeri ki qasam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.