mujhe ye rasta pahchanta hai
mujhe ye rāsta pahchāntā hai
ki har zarre se merā rābta hai
darīcha aap khul jaatā hai koī
kisī khiḌkī se maazī jhāñktā hai
ḳhudā merā mujhe yuuñ baḳhsh degā
mirī majbūriyāñ vo jāntā hai
kharā sonā samajhtā hogā mujh ko
mujhe jo aag meñ vo Dāltā hai
use lagte haiñ saare log baune
vo apne qad se sab ko nāptā hai
vo bolā to qayāmat hogī barpā
vo insāñ jo sabhī kuchh jāntā hai
ta.alluq hī nahīñ 'tāsīr' agar kuchh
mujhe dushman vo kyoñ gardāntā hai
mujhe ye rasta pahchanta hai
ki har zarre se mera rabta hai
daricha aap khul jata hai koi
kisi khiDki se mazi jhankta hai
KHuda mera mujhe yun baKHsh dega
meri majburiyan wo jaanta hai
khara sona samajhta hoga mujh ko
mujhe jo aag mein wo Dalta hai
use lagte hain sare log baune
wo apne qad se sab ko napta hai
wo bola to qayamat hogi barpa
wo insan jo sabhi kuchh jaanta hai
talluq hi nahin 'tasir' agar kuchh
mujhe dushman wo kyon gardanta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.