mujhe zaban zarurat thi ek sada ke liye
mujhe zabān zarūrat thī ik sadā ke liye
koī na thā mire ahbāb meñ vafā ke liye
maiñ tere hijr meñ hī mar gayā thā merī jaañ
ye zindagī maiñ jiyā huuñ faqat sazā ke liye
mujhe nahīñ hai zarūrat ye aish-o-ishrat ab
taḌap rahā hai ye dil bas tirī adā ke liye
tirā hī naqsh ubhartā rahā lakīroñ meñ
uThā.e haath jo maiñ ne kabhī duā ke liye
samajh nahīñ mujhe aatā ye falsafa 'ahmad'
kisī ke dar pe haiñ kyoñ māñgte ḳhudā ke liye
mujhe zaban zarurat thi ek sada ke liye
koi na tha mere ahbab mein wafa ke liye
main tere hijr mein hi mar gaya tha meri jaan
ye zindagi main jiya hun faqat saza ke liye
mujhe nahin hai zarurat ye aish-o-ishrat ab
taDap raha hai ye dil bas teri ada ke liye
tera hi naqsh ubharta raha lakiron mein
uThae hath jo main ne kabhi dua ke liye
samajh nahin mujhe aata ye falsafa 'ahmad'
kisi ke dar pe hain kyon mangte KHuda ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.