mujhe zamin hi likh usko aasman likh de
mujhe zamīn hī likh us ko āsmāñ likh de
kabhī likhī na ga.ī ho vo dāstāñ likh de
kahāñ maiñ terī 'ināyāt par huuñ shikva-sanj
ki mere naam koī aur kahkashāñ likh de
kahāñ vo shoḳh-badan aur justujū merī
mire hasīn tasavvur ko rā.egāñ likh de
kahāñ kahāñ tujhe āvāz de ke aayā huuñ
kahāñ kahāñ maiñ phirūñ aur mehrbāñ likh de
hunūz shahr meñ nāyāb hai amaañ 'bismil'
kahāñ talāsh karegā ye kārvāñ likh de
mujhe zamin hi likh us ko aasman likh de
kabhi likhi na gai ho wo dastan likh de
kahan main teri 'inayat par hun shikwa-sanj
ki mere nam koi aur kahkashan likh de
kahan wo shoKH-badan aur justuju meri
mere hasin tasawwur ko raegan likh de
kahan kahan tujhe aawaz de ke aaya hun
kahan kahan main phirun aur mehrban likh de
hunuz shahr mein nayab hai aman 'bismil'
kahan talash karega ye karwan likh de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.