mujhe zamin se mohabbat thi ja ke lauT aaya
mujhe zamīñ se mohabbat thī jā ke lauT aaya
falak ko ishq kī azmat dikhā ke lauT aaya
charāġh qabr-e-vafā par jalā ke lauT aaya
maiñ apne dil ko Thikāne lagā ke lauT aaya
to sahn-e-āsmāñ sab bhar gayā sitāroñ se
maiñ ḳhaak chāñd ke muñh par uḌā ke lauT aaya
amīr-e-shahr mujhe taaj dene vaalā thā
maiñ niiñv us ke mahal kī hilā ke luuT aaya
vo ek tiir jo pūñjī thī us kī āñkhoñ kī
use maiñ apne jigar meñ dhañsā ke lauT aaya
bahār aa.e na aa.e mire gulistāñ tak
maiñ dasht-o-sahrā meñ ġhunche khilā ke lauT aaya
maiñ chāhtā thā vo jaa.e to phir nahīñ aa.e
magar vo phir na.ī bāteñ banā ke lauT aaya
bahut ġhurūr thā us ko buland hone par
maiñ āsmān ke sar ko jhukā ke lauT aaya
subūt merī mohabbat kā māñgne vaalo
lahū se dār-o-rasan ko sajā ke lauT aaya
havā ke paañv bahut laḌkhaḌā rahe the 'nadīm'
bahaktī shaam ko lemū chaTā ke lauT aaya
mujhe zamin se mohabbat thi ja ke lauT aaya
falak ko ishq ki azmat dikha ke lauT aaya
charagh qabr-e-wafa par jala ke lauT aaya
main apne dil ko Thikane laga ke lauT aaya
to sahn-e-asman sab bhar gaya sitaron se
main KHak chand ke munh par uDa ke lauT aaya
amir-e-shahr mujhe taj dene wala tha
main ninw us ke mahal ki hila ke luT aaya
wo ek tir jo punji thi us ki aankhon ki
use main apne jigar mein dhansa ke lauT aaya
bahaar aae na aae mere gulistan tak
main dasht-o-sahra mein ghunche khila ke lauT aaya
main chahta tha wo jae to phir nahin aae
magar wo phir nai baaten bana ke lauT aaya
bahut ghurur tha us ko buland hone par
main aasman ke sar ko jhuka ke lauT aaya
subut meri mohabbat ka mangne walo
lahu se dar-o-rasan ko saja ke lauT aaya
hawa ke panw bahut laDkhaDa rahe the 'nadim'
bahakti sham ko lemu chaTa ke lauT aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.