mujhe zindagi ne diya kuchh nahin
mujhe zindagī ne diyā kuchh nahīñ
magar mujh ko us kā gilā kuchh nahīñ
ḳhayāloñ ke ḳhanjar bahut tez haiñ
vahī ḳhush hai jo sochtā kuchh nahīñ
bahut ḳhūb-rū thā mirā ham-suḳhan
use dekhne meñ sunā kuchh nahīñ
bas ik pal kī dīvār hai darmiyāñ
adam se mirā fāsla kuchh nahīñ
vo gul nazr-e-ḳhāk-e-ḳhizāñ ho ga.e
ḳhabar tujh ko bād-e-sabā kuchh nahīñ
ye hañgāma-e-ālam-e-āb-o-gil
ba-juz ek shor-e-fanā kuchh nahīñ
vahī hijr hai aur vahī vasl hai
mirā tajraba bhī nayā kuchh nahīñ
tavālat mirī guftugū meñ jo thī
mire paas kahne ko thā kuchh nahīñ
'farāsat' vahī be-hisī hai yahāñ
tire girye se to huā kuchh nahīñ
mujhe zindagi ne diya kuchh nahin
magar mujh ko us ka gila kuchh nahin
KHayalon ke KHanjar bahut tez hain
wahi KHush hai jo sochta kuchh nahin
bahut KHub-ru tha mera ham-suKHan
use dekhne mein suna kuchh nahin
bas ek pal ki diwar hai darmiyan
adam se mera fasla kuchh nahin
wo gul nazr-e-KHak-e-KHizan ho gae
KHabar tujh ko baad-e-saba kuchh nahin
ye hangama-e-alam-e-ab-o-gil
ba-juz ek shor-e-fana kuchh nahin
wahi hijr hai aur wahi wasl hai
mera tajraba bhi naya kuchh nahin
tawalat meri guftugu mein jo thi
mere pas kahne ko tha kuchh nahin
'farasat' wahi be-hisi hai yahan
tere girye se to hua kuchh nahin
- Book : Kitab-e-Rafta (Pg. 49)
- Author : Firasat Rizvi
- Publication : Academy Bazyaft, Karachi Pakistan (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.