mujrim hain agar humne tera nam liya hai
mujrim hain agar humne tera nam liya hai
Inder Sauroop Datt Nadan
MORE BYInder Sauroop Datt Nadan
mujrim haiñ agar ham ne tirā naam liyā hai
ham ne to faqat shikva-e-hālāt kiyā hai
ye zaḳhm ye chīḳheñ ye barastī huī āñkheñ
vo kaisā masīhā hai jo yuuñ jalva-numā hai
vo log haiñ kyoñ pyaas kī tahzīb ke ḳhāliq
dariyāoñ kā tohfa jinheñ virse meñ milā hai
ai kashtī-e-zarkār meñ baiThe hue logo
us samt bhī dekho to koī duub rahā hai
us shaḳhs ke dil meñ hai nihāñ kaun sā tūfāñ
āvāz ke mausam meñ jo chup-chāp khaḌā hai
kuchh tū hī batā ai shab-e-hijrāñ kī siyāhī
niklā nahīñ ḳhurshīd ki phir Duub gayā hai
kis aas pe pūjegā butoñ ko koī ‘nādāñ’
is daur ne har but kā bharam toḌ diyā hai
mujrim hain agar hum ne tera nam liya hai
hum ne to faqat shikwa-e-haalat kiya hai
ye zaKHm ye chiKHen ye barasti hui aankhen
wo kaisa masiha hai jo yun jalwa-numa hai
wo log hain kyon pyas ki tahzib ke KHaliq
dariyaon ka tohfa jinhen wirse mein mila hai
ai kashti-e-zarkar mein baiThe hue logo
us samt bhi dekho to koi dub raha hai
us shaKHs ke dil mein hai nihan kaun sa tufan
aawaz ke mausam mein jo chup-chap khaDa hai
kuchh tu hi bata ai shab-e-hijran ki siyahi
nikla nahin KHurshid ki phir Dub gaya hai
kis aas pe pujega buton ko koi ‘nadan’
is daur ne har but ka bharam toD diya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.