mujrim hun agar mujhko saza kyon nahin dete
mujrim huuñ agar mujh ko sazā kyoñ nahīñ dete
apnā huuñ to phir mujh ko sadā kyoñ nahīñ dete
kuchh aur nahīñ shikva shikāyat hī karo tum
is bujhtī mohabbat ko havā kyoñ nahīñ dete
tum lauT bhī jaao to asar der talak ho
malte hue ye haath dabā kyoñ nahīñ dete
phir dekh ke sāhab jī usī ḳhaas nazar se
ummīd ke ġhunchoñ ko khilā kyoñ nahīñ dete
ik baat hī kahnī hai magar log bahut haiñ
kuchh vaqt mujhe in ke sivā kyoñ nahīñ dete
mujrim hun agar mujh ko saza kyon nahin dete
apna hun to phir mujh ko sada kyon nahin dete
kuchh aur nahin shikwa shikayat hi karo tum
is bujhti mohabbat ko hawa kyon nahin dete
tum lauT bhi jao to asar der talak ho
malte hue ye hath daba kyon nahin dete
phir dekh ke sahab ji usi KHas nazar se
ummid ke ghunchon ko khila kyon nahin dete
ek baat hi kahni hai magar log bahut hain
kuchh waqt mujhe in ke siwa kyon nahin dete
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.