mujrimon par nigah-e-lutf-e-zamana dekhun
mujrimoñ par nigah-e-lutf-e-zamāna dekhūñ
be-gunāhoñ ko maiñ zālim kā nishāna dekhūñ
merī nazreñ to bulandī kī taraf rahtī haiñ
tū hai shāhīn mirā terā Thikānā dekhūñ
uf vo āñkheñ ki sitāre simaT aa.eñ jin meñ
haa.e vo chaal ki pāmāl zamāna dekhūñ
yaas meñ Duubī huī shaam kī tanhā.ī meñ
maiñ dabe paañv tirī yaad kā aanā dekhūñ
pech-o-ḳham jism ke ḳhud da.avat-e-nazzāra haiñ
in hī moḌoñ meñ utarne kā bahāna dekhūñ
mujrimon par nigah-e-lutf-e-zamana dekhun
be-gunahon ko main zalim ka nishana dekhun
meri nazren to bulandi ki taraf rahti hain
tu hai shahin mera tera Thikana dekhun
uf wo aankhen ki sitare simaT aaen jin mein
hae wo chaal ki pamal zamana dekhun
yas mein Dubi hui sham ki tanhai mein
main dabe panw teri yaad ka aana dekhun
pech-o-KHam jism ke KHud dawat-e-nazzara hain
in hi moDon mein utarne ka bahana dekhun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.