mukammal maut se pahle mera tum KHwab ho jao
mukammal maut se pahle mirā tum ḳhvāb ho jaao
mirī āñkhoñ ke koroñ par Thahartā aab ho jaao
tumheñ bas dekhne bhar ko jigar chaukhaT pe rakhnā ho
ijāzat rab se lenī ho yuuñ tum nāyāb ho jaao
koī dekhe nahīñ tum ko koī chhū bhī nahīñ paa.e
mire siine meñ chhup jaao mirā girdāb ho jaao
maiñ tanhā huuñ zamāne meñ tirā hone kī chāhat hai
nahīñ mumkin to ye kar do mire ahbāb ho jaao
mirā āġhāz ho tum se tumhīñ par ḳhatm ho.uuñ maiñ
mohabbat ke sahīfe meñ vafā kā baab ho jaao
mukammal maut se pahle mera tum KHwab ho jao
meri aankhon ke koron par Thaharta aab ho jao
tumhein bas dekhne bhar ko jigar chaukhaT pe rakhna ho
ijazat rab se leni ho yun tum nayab ho jao
koi dekhe nahin tum ko koi chhu bhi nahin pae
mere sine mein chhup jao mera girdab ho jao
main tanha hun zamane mein tera hone ki chahat hai
nahin mumkin to ye kar do mere ahbab ho jao
mera aaghaz ho tum se tumhin par KHatm houn main
mohabbat ke sahife mein wafa ka bab ho jao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.