mukammal rābte meñ aa gayā huuñ
tumhāre rāste meñ aa gayā huuñ
maiñ ḳhud par khul rahā huuñ dhīre dhīre
tumhāre aa.ine meñ aa gayā huuñ
kisī ke haath meñ likkhā huā thā
kisī ke zā.iche meñ aa gayā huuñ
sadā-e-kun se jo pīchhe haTā thā
zamīñ ke dā.ere meñ aa gayā huuñ
maiñ puurā vāqi.a thā dāstāñ kā
simaT kar hāshiye meñ aa gayā huuñ
safar karnā zarūrī bhī nahīñ thā
maiñ yūñhī qāfile meñ aa gayā huuñ
mukammal rabte mein aa gaya hun
tumhaare raste mein aa gaya hun
main KHud par khul raha hun dhire dhire
tumhaare aaine mein aa gaya hun
kisi ke hath mein likkha hua tha
kisi ke zaiche mein aa gaya hun
sada-e-kun se jo pichhe haTa tha
zamin ke daere mein aa gaya hun
main pura waqia tha dastan ka
simaT kar hashiye mein aa gaya hun
safar karna zaruri bhi nahin tha
main yunhi qafile mein aa gaya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.