mukh-phaT munh pe khaenge talwar ho so ho
mukh-phaT munh pe khaenge talwar ho so ho
Mushafi Ghulam Hamdani
MORE BYMushafi Ghulam Hamdani
mukh-phāT muñh pe khā.eñge talvār ho so ho
dabne ke bhī to us se nahīñ yaar ho so ho
jaanā mujhe bhī ab taraf-e-yār ho so ho
yā bole yā batā.e vo dhutkār ho so ho
sayyād ko to ḳhvāb-e-taġhāful se kaam hai
ahvāl-e-tā.irān-e-giraftār ho so ho
saudā.ī ban ke us pe mujhe haath Dālnā
hañgāma is meñ jo sar-e-bāzār ho so ho
jī par yahī Thanī hai to aaj us ko chheḌ kar
khānī mujhe bhī gāliyāñ do chaar ho so ho
go is meñ hāthā-pā.ī bhī ho jaave Dar nahīñ
lūñgā maiñ us kā bosa-e-ruḳhsār ho so ho
mujh ko bhī kāTnī qafas apne kī tīliyāñ
yā TuuTe yā bache mirī minqār ho so ho
shikva kabhī na yaar kā lāveñge muñh pe ham
ham par jafā-e-charḳh-e-sitam-gār ho so ho
apnī shifā ko apne ḳhudā par tū chhoḌ de
āḳhir to maut hai dil-e-bīmār ho so ho
maanī shabīh-e-yār pe mat aap ko miTā
lūñgā banā maiñ tujh se jo tayyār ho so ho
ai dil! tū sāda-rūyoñ kī bhapkī meñ aa na jā
ik din lipaT ke chhīn le talvār ho so ho
sar phoḌ kar ke jā.eñge us kī galī meñ ham
rañgeñge ḳhuun se dar-o-dīvār ho so ho
san.āñ kī tarah ik but-e-kāfir ke ishq meñ
kāfir ho bāñdhnā hameñ zunnār ho so ho
lenī matā-e-husn hameñ is meñ tājiro!
nuqsān-e-jān-o-māl-e-dil-e-zār ho so ho
shoḳhī hai terī tab.a meñ shiddat se 'mus.hafī'
le bhaag sar se shaiḳh ke dastār ho so ho
mukh-phaT munh pe khaenge talwar ho so ho
dabne ke bhi to us se nahin yar ho so ho
jaana mujhe bhi ab taraf-e-yar ho so ho
ya bole ya batae wo dhutkar ho so ho
sayyaad ko to KHwab-e-taghaful se kaam hai
ahwal-e-tairan-e-giraftar ho so ho
saudai ban ke us pe mujhe hath Dalna
hangama is mein jo sar-e-bazar ho so ho
ji par yahi Thani hai to aaj us ko chheD kar
khani mujhe bhi galiyan do chaar ho so ho
go is mein hatha-pai bhi ho jawe Dar nahin
lunga main us ka bosa-e-ruKHsar ho so ho
mujh ko bhi kaTni qafas apne ki tiliyan
ya TuTe ya bache meri minqar ho so ho
shikwa kabhi na yar ka lawenge munh pe hum
hum par jafa-e-charKH-e-sitam-gar ho so ho
apni shifa ko apne KHuda par tu chhoD de
aaKHir to maut hai dil-e-bimar ho so ho
mani shabih-e-yar pe mat aap ko miTa
lunga bana main tujh se jo tayyar ho so ho
ai dil! tu sada-ruyon ki bhapki mein aa na ja
ek din lipaT ke chhin le talwar ho so ho
sar phoD kar ke jaenge us ki gali mein hum
rangenge KHun se dar-o-diwar ho so ho
sanan ki tarah ek but-e-kafir ke ishq mein
kafir ho bandhna hamein zunnar ho so ho
leni mata-e-husn hamein is mein tajiro!
nuqsan-e-jaan-o-mal-e-dil-e-zar ho so ho
shoKHi hai teri taba mein shiddat se 'mushafi'
le bhag sar se shaiKH ke dastar ho so ho
- Book : kulliyat-e-mas.hafii(hashtum) (Pg. 60)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.