muKhaalif aandhiyon mein azm ke dipak jalata hun
muKhaalif aandhiyon mein azm ke dipak jalata hun
Ajeet Singh Hasrat
MORE BYAjeet Singh Hasrat
muḳhālif āñdhiyoñ meñ azm ke dīpak jalātā huuñ
kabhī jab vaqt paḌtā hai to ḳhud ko āzmātā huuñ
maiñ shahzāda havā kā huuñ ḳhalā merī riyāsat hai
kabhī maiñ uḌte uḌte āsmāñ ko phāñd jaatā huuñ
kabhī maiñ ret hī se kheltā rahtā huuñ bachchoñ sā
kabhī maiñ zaat ke gahre samundar meñ nahātā huuñ
kabhī be-ḳhud paḌā rahtā huuñ maiñ parda-nashīñ ho kar
kabhī fitrat ke ik ik raaz se parde uThātā huuñ
kabhī ehsās kā ik ḳhaar chubh jaa.e to ro uTThūñ
kabhī maiñ daar ke taḳhte pe chaḌh kar muskurātā huuñ
kabhī maiñ rote rote hañs diyā kartā huuñ pāgal sā
kabhī maiñ hañste hañste āñsuoñ se bhiig jaatā huuñ
kabhī maiñ be-his-o-harakat paḌā rahtā huuñ pahroñ tak
kabhī maiñ zindagī ke saaz par naġhme sunātā huuñ
kabhī zarḳhez dhartī ko bhī ḳhātir meñ nahīñ laatā
kabhī banjar zamīñ meñ aas ke paude lagātā huuñ
maiñ ik qatra huuñ lekin ab samundar ban gayā samho
maiñ ik naddī se mil kar sū-e-manzil bhāgā jaatā huuñ
mirī fitrat ajab hai aaj tak maiñ bhī nahīñ samjhā
vo jin ke par nahīñ hote unheñ uḌnā sikhātā huuñ
maiñ gahre pāniyoñ ko chiir detā huuñ magar 'hasrat'
jahāñ paanī bahut kam ho vahāñ maiñ Duub jaatā huuñ
muKHalif aandhiyon mein azm ke dipak jalata hun
kabhi jab waqt paDta hai to KHud ko aazmata hun
main shahzada hawa ka hun KHala meri riyasat hai
kabhi main uDte uDte aasman ko phand jata hun
kabhi main ret hi se khelta rahta hun bachchon sa
kabhi main zat ke gahre samundar mein nahata hun
kabhi be-KHud paDa rahta hun main parda-nashin ho kar
kabhi fitrat ke ek ek raaz se parde uThata hun
kabhi ehsas ka ek KHar chubh jae to ro uTThun
kabhi main dar ke taKHte pe chaDh kar muskuraata hun
kabhi main rote rote hans diya karta hun pagal sa
kabhi main hanste hanste aansuon se bhig jata hun
kabhi main be-his-o-harakat paDa rahta hun pahron tak
kabhi main zindagi ke saz par naghme sunata hun
kabhi zarKHez dharti ko bhi KHatir mein nahin lata
kabhi banjar zamin mein aas ke paude lagata hun
main ek qatra hun lekin ab samundar ban gaya samho
main ek naddi se mil kar su-e-manzil bhaga jata hun
meri fitrat ajab hai aaj tak main bhi nahin samjha
wo jin ke par nahin hote unhen uDna sikhata hun
main gahre paniyon ko chir deta hun magar 'hasrat'
jahan pani bahut kam ho wahan main Dub jata hun
- Book : Tanveer-e-Fan (Pg. 74)
- Author : Compiled by Dr. Keval Dheer, Mitr Nikodari,Author Ajeet Singh 'Hasrat'
- Publication : Dr. Bhajan Singh, 189 Model Gram, Ludhiana-02 (2006)
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.