muKhaalif ho zamin meri ki dushman aasman mera
muḳhālif ho zamīñ merī ki dushman āsmāñ merā
rahegā rahtī duniyā tak chaman meñ āshiyāñ merā
maiñ chāhūñ bhī to khul saktā nahīñ rāz-e-nihāñ merā
ki is mahfil meñ koī bhī nahīñ hai ham-zabāñ merā
nahīñ mumkin kahīñ bhī mil sake mujh ko nishāñ merā
agar dāman na chhoḌeñge ye nāqūs-o-azāñ merā
yaqīñ hai mujh ko apne dast-o-bāzū azm-o-himmat par
balā se gar muḳhālif hai ye daur-e-āsmāñ merā
uḌā kar le chalī hai mujh ko manzil kī kashish dekhūñ
kahāñ tak saath dete haiñ ye ahl-e-kārvāñ merā
abhī ummīd kā dāman hai mere dast-e-himmat meñ
ḳhudā rakkhe salāmat hai abhī azm-e-javāñ merā
ye duniyā hai havādis-gāh yā maktab mohabbat kā
zamāna har qadam par le rahā hai imtihāñ merā
musalsal bārish-e-faulād-o-ātish hai jahāñ maiñ huuñ
na raas aa.egā tujh ko ālam-e-barq-o-dukhāñ merā
panapte haiñ yahāñ buuTe na khiltī haiñ yahāñ kaliyāñ
ḳhizāñ-ḳhurda chaman sar-sar-zada hai gulsitāñ merā
agar yuuñ hī rahī gardish meñ duniyā to ajab kyā hai
phir ik din sajda-gāh-e-qudsiyāñ ho āstāñ merā
gul-o-bulbul ko nazr-e-tāq-e-nisyāñ kar chukā huuñ maiñ
muarra kyoñ na ho husn-e-tasanño se bayāñ merā
abhī vahm-o-gumāñ kī vādiyoñ meñ tū hai sargardāñ
tirī manzil se kosoñ baḌh gayā hai kārvāñ merā
ye sher-o-shā.erī hai 'ashk' iqlīm-e-suḳhan mujh ko
qalam merā alam hai aur zabāñ merī nishāñ merā
muKHalif ho zamin meri ki dushman aasman mera
rahega rahti duniya tak chaman mein aashiyan mera
main chahun bhi to khul sakta nahin raaz-e-nihan mera
ki is mahfil mein koi bhi nahin hai ham-zaban mera
nahin mumkin kahin bhi mil sake mujh ko nishan mera
agar daman na chhoDenge ye naqus-o-azan mera
yaqin hai mujh ko apne dast-o-bazu azm-o-himmat par
bala se gar muKHalif hai ye daur-e-asman mera
uDa kar le chali hai mujh ko manzil ki kashish dekhun
kahan tak sath dete hain ye ahl-e-karwan mera
abhi ummid ka daman hai mere dast-e-himmat mein
KHuda rakkhe salamat hai abhi azm-e-jawan mera
ye duniya hai hawadis-gah ya maktab mohabbat ka
zamana har qadam par le raha hai imtihan mera
musalsal barish-e-faulad-o-atish hai jahan main hun
na ras aaega tujh ko aalam-e-barq-o-dukhan mera
panapte hain yahan buTe na khilti hain yahan kaliyan
KHizan-KHurda chaman sar-sar-zada hai gulsitan mera
agar yun hi rahi gardish mein duniya to ajab kya hai
phir ek din sajda-gah-e-qudsiyan ho aastan mera
gul-o-bulbul ko nazr-e-taq-e-nisyan kar chuka hun main
muarra kyon na ho husn-e-tasanno se bayan mera
abhi wahm-o-guman ki wadiyon mein tu hai sargardan
teri manzil se koson baDh gaya hai karwan mera
ye sher-o-shaeri hai 'ashk' iqlim-e-suKHan mujh ko
qalam mera alam hai aur zaban meri nishan mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.