muKhaalifin ko hairan karne wala hun
muḳhālifīn ko hairān karne vaalā huuñ
maiñ apnī haar kā elaan karne vaalā huuñ
sunā he dasht meñ vahshat sukūn paatī hai
so apne aap ko vīrān karne vaalā huuñ
fazā meñ chhoḌ rahā huuñ ḳhayāl kā taa.ir
sukūt-e-arsh ko gunjān karne vaalā huuñ
miTā rahā huuñ ḳhirad kī tamām tashbīheñ
junūñ kā rāsta āsān karne vaalā huuñ
haqīqatoñ se kaho hoshiyār ho jaa.eñ
maiñ apne ḳhvāb ko mīzān karne vaalā huuñ
koī ḳhudā-e-mohabbat ko bā-ḳhabar kar de
maiñ ḳhud ko ishq meñ qurbān karne vaalā huuñ
sajā rahā huuñ tabassum kā ik nayā lashkar
hujūm-e-yās kā nuqsān karne vaalā huuñ
muKHalifin ko hairan karne wala hun
main apni haar ka elan karne wala hun
suna he dasht mein wahshat sukun pati hai
so apne aap ko viran karne wala hun
faza mein chhoD raha hun KHayal ka tair
sukut-e-arsh ko gunjaan karne wala hun
miTa raha hun KHirad ki tamam tashbihen
junun ka rasta aasan karne wala hun
haqiqaton se kaho hoshiyar ho jaen
main apne KHwab ko mizan karne wala hun
koi KHuda-e-mohabbat ko ba-KHabar kar de
main KHud ko ishq mein qurban karne wala hun
saja raha hun tabassum ka ek naya lashkar
hujum-e-yas ka nuqsan karne wala hun
- Book : Raushni Jaari Karo (Pg. 40)
- Author : Manish Shukla
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.