muKHtasar ye hai haqiqat ishq ke aazar ki
muḳhtasar ye hai haqīqat ishq ke āzār kī
umr-bhar tīmār-dārī kī dil-e-bīmār kī
chain lene de dil-e-muztar kisī dam bahr-e-shaġhl
tū ne o kam-baḳht ab to zindagī dushvār kī
hijr kī shab sochtā huuñ maiñ kahāñ huuñ kaun huuñ
dekhtā huuñ ġhaur se sūrat dar-o-dīvār kī
ab to jī ghabrā gayā hūr-o-jināñ ke zikr se
hazrat-e-vā.iz bhalā had hai koī tūmār kī
āh-o-zārī kī kabhī aḳhtar-shumārī kī kabhī
kis musībat se kaTī hai raat hijr-e-yār kī
ḳhuub soche hazrat-e-vā.iz jo chupke pī ga.e
laaj rakh lī aap ne jo jubba-o-dastār kī
ġham nahīñ kuchh bah gayā āñkhoñ se gar ḳhūn-e-jigar
ho ga.ī puurī ḳhushī to dīda-e-ḳhūñ-bār kī
aaj kyā samjhā hai saaqī ne jo mai detā nahīñ
maiñ ne tauba is se pahle bhī to lākhoñ baar kī
ai asīrān-e-qafas kyā ā.eñge aise bhī dil
phir kabhī dekheñge sūrat ham gul-o-gulzār kī
ab to vo har baat par kar dete haiñ fauran nahīñ
paḌ ga.ī hai aisī kuchh aadat unheñ inkār kī
aaj kuchh barham the vo bhī aur ham bhī the bhare
bātoñ hī bātoñ meñ naubat aa ga.ī takrār kī
de chukī jab naza.a kī hālat meñ goyā.ī javāb
pūchhne baiThe haiñ ḳhvāhish aah ab bīmār kī
har qadam par ābloñ se ik na.ī taklīf hai
kis tarah tai hogī manzil vādī-e-pur-ḳhār kī
ho sakī 'ishrat' na koshish aah koī kāmyāb
har ghaḌī karte rahe tadbīr vasl-e-yār kī
muKHtasar ye hai haqiqat ishq ke aazar ki
umr-bhar timar-dari ki dil-e-bimar ki
chain lene de dil-e-muztar kisi dam bahr-e-shaghl
tu ne o kam-baKHt ab to zindagi dushwar ki
hijr ki shab sochta hun main kahan hun kaun hun
dekhta hun ghaur se surat dar-o-diwar ki
ab to ji ghabra gaya hur-o-jinan ke zikr se
hazrat-e-waiz bhala had hai koi tumar ki
aah-o-zari ki kabhi aKHtar-shumari ki kabhi
kis musibat se kaTi hai raat hijr-e-yar ki
KHub soche hazrat-e-waiz jo chupke pi gae
laj rakh li aap ne jo jubba-o-dastar ki
gham nahin kuchh bah gaya aankhon se gar KHun-e-jigar
ho gai puri KHushi to dida-e-KHun-bar ki
aaj kya samjha hai saqi ne jo mai deta nahin
main ne tauba is se pahle bhi to lakhon bar ki
ai asiran-e-qafas kya aaenge aise bhi dil
phir kabhi dekhenge surat hum gul-o-gulzar ki
ab to wo har baat par kar dete hain fauran nahin
paD gai hai aisi kuchh aadat unhen inkar ki
aaj kuchh barham the wo bhi aur hum bhi the bhare
baaton hi baaton mein naubat aa gai takrar ki
de chuki jab naza ki haalat mein goyai jawab
puchhne baiThe hain KHwahish aah ab bimar ki
har qadam par aablon se ek nai taklif hai
kis tarah tai hogi manzil wadi-e-pur-KHar ki
ho saki 'ishrat' na koshish aah koi kaamyab
har ghaDi karte rahe tadbir wasl-e-yar ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.