muktafi sajda-e-niyaz nahin
muktafī sajda-e-niyāz nahīñ
itnī arzāñ nigāh-e-nāz nahīñ
naġhma soz-e-darūñ kā ā.īna
soz-e-dil be-niyāz-e-sāz nahīñ
mai-kada bāvajūd-e-kaif-o-surūr
aap kī chashm-e-nīm-bāz nahīñ
zer-e-mashq-e-zamāna haiñ vo log
fitratan jo zamāna-sāz nahīñ
kyoñ haqīqat kī hai talāsh hameñ
be-haqīqat agar majāz nahīñ
dil kī āvāz dil hī suntā hai
mahram-e-soz naġhma-sāz nahīñ
kaam apne ḳhudā ko sauñp 'āsif'
koī us jaisā kārsāz nahīñ
muktafi sajda-e-niyaz nahin
itni arzan nigah-e-naz nahin
naghma soz-e-darun ka aaina
soz-e-dil be-niyaz-e-saz nahin
mai-kada bawajud-e-kaif-o-surur
aap ki chashm-e-nim-baz nahin
zer-e-mashq-e-zamana hain wo log
fitratan jo zamana-saz nahin
kyon haqiqat ki hai talash hamein
be-haqiqat agar majaz nahin
dil ki aawaz dil hi sunta hai
mahram-e-soz naghma-saz nahin
kaam apne KHuda ko saunp 'asif'
koi us jaisa karsaz nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.