mulahiza ho meri bhi uDan pinjre mein
mulāhiza ho mirī bhī uḌaan pinjre meñ
atā hue haiñ mujhe do-jahān pinjre meñ
hai sair-gāh bhī aur is meñ āb-o-dāna bhī
rakhā gayā hai mirā kitnā dhyān pinjre meñ
is ek shart par us ne rihā kiyā mujh ko
rakhegā rehn vo merī uḌaan pinjre meñ
yahīñ halāk huā hai parinda ḳhvāhish kā
tabhī to haiñ ye lahū ke nishān pinjre meñ
mujhe satā.egā tanhā.iyoñ kā mausam kyā
hai mere saath mirā ḳhāndān pinjre meñ
falak pe jab bhī parindoñ kī saf nazar aa.ī
huī haiñ kitnī hī yādeñ javān pinjre meñ
ḳhayāl aayā hameñ bhī ḳhudā kī rahmat kā
sunā.ī jab bhī paḌī hai azaan pinjre meñ
tarah tarah ke sabaq is liye raTā.e ga.e
maiñ bhuul jā.ūñ khulā āsmān pinjre meñ
mulahiza ho meri bhi uDan pinjre mein
ata hue hain mujhe do-jahan pinjre mein
hai sair-gah bhi aur is mein aab-o-dana bhi
rakha gaya hai mera kitna dhyan pinjre mein
is ek shart par us ne riha kiya mujh ko
rakhega rehn wo meri uDan pinjre mein
yahin halak hua hai parinda KHwahish ka
tabhi to hain ye lahu ke nishan pinjre mein
mujhe sataega tanhaiyon ka mausam kya
hai mere sath mera KHandan pinjre mein
falak pe jab bhi parindon ki saf nazar aai
hui hain kitni hi yaaden jawan pinjre mein
KHayal aaya hamein bhi KHuda ki rahmat ka
sunai jab bhi paDi hai azan pinjre mein
tarah tarah ke sabaq is liye raTae gae
main bhul jaun khula aasman pinjre mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.