mulk-o-mazhab na zaban ka koi jhagDa rakhiye
mulk-o-mazhab na zaban ka koi jhagDa rakhiye
Mohammad Hashmat Raza Sahil
MORE BYMohammad Hashmat Raza Sahil
mulk-o-maz.hab na zabāñ kā koī jhagḌā rakhiye
aap insāñ haiñ to insān se rishta rakhiye
baat karte hue mahfil meñ salīqa rakhiye
apne aslāf kā kuchh taur tarīqa rakhiye
ġham kī tārīkī kā ehsās na hone paa.e
apne chehre pe tabassum kā ujālā rakhiye
apne shāne se mirā haath jhaTak dete haiñ
un ke aage jo kabhī arz-e-tamannā rakhiye
āsmāñ zer-e-qadam rakhiye zamīñ par rah kar
ishq-o-iḳhlās kā andāz nirālā rakhiye
saath detā hai yahāñ kaun kisī kā 'sāhil'
hausla apnā har ik gaam pe baalā rakhiye
mulk-o-mazhab na zaban ka koi jhagDa rakhiye
aap insan hain to insan se rishta rakhiye
baat karte hue mahfil mein saliqa rakhiye
apne aslaf ka kuchh taur tariqa rakhiye
gham ki tariki ka ehsas na hone pae
apne chehre pe tabassum ka ujala rakhiye
apne shane se mera hath jhaTak dete hain
un ke aage jo kabhi arz-e-tamanna rakhiye
aasman zer-e-qadam rakhiye zamin par rah kar
ishq-o-iKHlas ka andaz nirala rakhiye
sath deta hai yahan kaun kisi ka 'sahil'
hausla apna har ek gam pe baala rakhiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.