mulzim Thahri main apni sachchai se
mulzim Thahrī maiñ apnī sachchā.ī se
jhuuT ne baazī maar lī paa.ī paa.ī se
haq-talfī bhī ḳhāmoshī se sah jaa.eñ
faisla karnā mushkil hai dānā.ī se
us ko sochte rahnā achchhā lagtā hai
kaisā naata juḌ gayā us harjā.ī se
badle meñ vo sāñseñ girvī rakh legā
bach ke rahnā aaj ke hātim-tā.ī se
koī mujh meñ rahtā hai mujh se chhup kar
Dar nahīñ lagtā ab apnī tanhā.ī se
bhūle se aa jaa.e vo chhat par ik din
chāñd ko dekhūñ maiñ apnī añgnā.ī se
tāza-dam rakhtī hai terī ḳhushbū hī
mujh ko nisbat kyā gulshan-ārā.ī se
phuul se lahje zaḳhm jahāñ dete haiñ ġhazal
Dartī huuñ aisī izzat-afzā.ī se
mulzim Thahri main apni sachchai se
jhuT ne bazi mar li pai pai se
haq-talfi bhi KHamoshi se sah jaen
faisla karna mushkil hai danai se
us ko sochte rahna achchha lagta hai
kaisa nata juD gaya us harjai se
badle mein wo sansen girwi rakh lega
bach ke rahna aaj ke hatim-tai se
koi mujh mein rahta hai mujh se chhup kar
Dar nahin lagta ab apni tanhai se
bhule se aa jae wo chhat par ek din
chand ko dekhun main apni angnai se
taza-dam rakhti hai teri KHushbu hi
mujh ko nisbat kya gulshan-arai se
phul se lahje zaKHm jahan dete hain ghazal
Darti hun aisi izzat-afzai se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.